29 June, 2006

Ruuh-e-nagmein

Intazaar
------------
mere andhere raaton ko ek ujaale savere ka,
mere tanha raahoon ko ek humsafar ka,
meri sooni zindagi ko ek saathi ka...
hain Interzar ek aise mehman ka
jo mere saason ki mehek mein ghul jaanyen
aur mere dil mein samaa jaayen...

Justajoo
--------------
doondha hain aapko kabi haaton ki lakeeron mein
doondha hain aapko kabi sitaron ki nazm mein
najaane hain aap kis dayaar-e-gair mein
kabhi to aane ki iizaa kijiye hamaarein khwaabon mein

Sharm
-----
nazaren jhukaaken chalte hain
sharmo hayaan se nahin
inmen aap ki tasveer hain
duniyavaalon se baachaake chalte hain!

Apne paraayen
-------------------------
rootha to apnon se karte hain
aap to gair bhi nahin.
Shiqayat kaise karen?
aap is ke qabil bhi nahin!


Fanaa
------
Hum se na poochon ki ishq mein kaise fanaah hue ,
hum to woh bad akhtar hain jo saahil pe gharq hue.

No comments: